Powered By Blogger

My Blog List

Wednesday, May 19, 2010

Tum KAB AAOGJI

TUM KAB AAOGI, AB RAT KE 11 BAJNE KO HAI AUR TUMHARA KUCH PATA NAHI. KISI ANHONI KI AaSHANKA SE MAN GHABRA RAHA HAI, AGAR NAHI AAYI TO MAIN KYA KAR PAUNGA TUMHARE BINA. BECHAINI KE AALAM MEIN MAIN EK ROOM SE NIKEL DOOSRE ROOM MEIN JA RAHA HOON PAR TUM NAJANE KAHAN CHIPI HO MERE SABRA KA IMTAHAAN LENE.




YAAD AA RAHA HAI SUBHA KA BITAYA HAR EK PAL KAISE CHILCHILATI

DHOOP MEIN MAIN YAHAN SE WAHAN BHAG RAHA THA. TWACHA (SKIN) JALNE LAGEE THI , PASEENE KI BOONDE KAB AAYI AUR KAB SUKH GAYI, KUCH PATA NAHI,KAB PYAS LAGI ,KAB BHOOK LAGI KAB KHANA KHAYA ,KUCH YAAD NAHI , KAYI BAR SOCHA KI TUMHARI CHAYA MEIN AARAM MILE, PAR JAB BHI KAMRE MEIN GAYA TUM NADARAD THI, MERI HATASHA MERI PIDA, MERE ANDAR KI GHABRAHAT KO PADHNE WALA KOI BHI NAHI THA. KHAIR, SUBHA KI BHAG DAUR NE MUJHE ZADA VICHLIT NAHI KIYA PAR AB JAB LAUTA HU THAKAHARA BESAHARA TO,

IS WAQT PANI MILE NA MILE,BHOJAN MILE NA MILE PAR IS WAQT TUM MERI SABSE BARI ZARURAT HO.KAHAN HO, KAB AAOGI?MERI DHAKANO KA PRAVAH BADHTA JA RAHA HAI.PASEENE KI LAKERE MAATHE SE GAL PAR LUDHAK RAHI HAI,SABRA KA BAANDH TUTNE KO HAI,HAR PAL TUMHARE AANE KI AAHAT SUNNE KO MAI MARA JA RAHA HU.



MERE KAAN FRIDGE KI OR LAGE HAI KYUN KI TUMHARE AAGAMAN KI PRATHAM SUCHNA VAHI ZHATAKE SE DETA HAI.MERI PIDA KO AB AUR MAT BADHAO AUR ZALDI SE AAO KYUNKI MERA THAKA HARA SHAREER BISTER PAR JANE KO TAYAAR HAI PAR JAB TAK TUM NAHI AOGI NA ROOM KA AC ON HOGA NA NEEND AAYEGI.



SACH "LIGHT" BINA SAB SUNA HAI.....

BRAJESH

Saturday, May 8, 2010

salam bachho

Hi; aj din shaniwar hai mere liye coolest day of the week. Khas bat ye hai ki aj mera janamdin hai.kharab bat ye hai ki ye mera 39Th b day hai,kisi ko batana mat please.umra ke is padav par mud ke dekhta hoon to bachpan koso door khada muskarata dikhai deta hai aur anayas hi mukh se nikal padta hai "ye kahan aagaye ham." Aj mubarakbad dene walo men mera 8 sal ka beta jonty bhi tha jisne mujhe ek pen gift kar romanchit kar diya. uski umra me muje to kabhi ye khayal nahin aaya tha. aj ke bachche sachmuch bahut aage hain hamari tab ke umra se.COLORS TV PAR CHAK DHOOM DHOOM mujhe bahut romanchit kar raha hai.Adbhut pratibha ke ye bachche dil ko chu le rahe hain.Inme se kai aise bachhe hain jo asafal ho kar fafak kar ropade.Is umra men haar ke prati unki sanjidgi ne mughe jhakjhor ke rakh diya hai. In bachcho ki asafalta mujhe bhavuk kiye derahi hai .In bachcho ke lagan ko mera salam hai. AUR ANT ME mere bhi bachche banne ka samay aa gaya hai kyunki meri bhnjiya HARSHA AUR NIDHI HOWRAH se aarahi hain unke aate hi shuru ho jayega puana khel ki mama ki sabse pyari bhanji kaun hai? Aj ke liye itna hi kyuki main unhe lene station jaraha hoon.

Thursday, May 6, 2010

Wednesday, May 5, 2010

Hi, blog likhne ka dusara din.Samajh nahi aa raha kya likhu. Pichle 1 ghantey se main computer ke mouse ki kan maror raha hun. pata nahin maine kya kiya hai kaun si seva shuru kara li hai ya kisi musibat ko dawat diya hai. kuch bhi thik nahi ho raha hai; par kare bhi to kya.. koi margdarshakto mile. To aj kuch bhi na likh pane ka behad afsos hai. Par main apna asafal prayas chipaunga nahi, kyuki bure din hai to achche din bhi awasya ayege. ------brajesh

Tuesday, May 4, 2010

chal padi

Namaskar; badi mushkil se main likhne kijagah par pahunch paya hoon. suchana ke is adhuniktam madhyam ko mera pranam hai. mujhe is madhyam ki jara bhi jankari nahin hai. pata nahin kab tak is school ka achcha chatra ban paunga.AAJ meri istithi school ke ek aise bachche ki tarah hai jo kisi tarah apna home work kar ke aayato hai par teacher ko dikhana nahin chahta. Kyuki agar dikhaya to uski galtiya use awasya pitvaengi aur class men hasi ka patra ban jayega.Asi kai ghabrahto ka main philwakt shikar hoon.Ladkhadate hi sahi maine kadam to badha diye hain ye soch kar ke --- KAUN KAHTA HAI ASMAN PAR SURAKH NAHIN HO SAKTA EK PATHTHAR TO TABIYAT SE UCHAIO YARO. To maine ye faisla kiya hai ke main us school bachche ki tarah apni copy kisi se nahi chipaunga balki har galti aapki madad se sudharta chla jaungajaunga. To aaj apni pith khud hi thapthapa leta hoon ki meri BLOGG KI GADI CHAL PADI. ------Brajesh.